Friday, April 5, 2013

Achha Lagta Hai






Rasta to hai rangeen
Safar bhi hai suhana
Par kabhi mudd kar peechey dekhna
Achha lagta hai

Samundar to hai vishal
Lahrein hain aati shandaar
Par chup chap si nadi ka kinara
Achha lagta hai

Zindagi ki daud me
Agey nikal jana, deta hai muskaan
Par kabhi jaan bujh kar peeche reh jana
Achha lagta hai

Naam shohrat daulat chamak se
Aati hain khushian bilkul
Par saada shant sukoon ka pal
Bhi kabhi kabhi .. Achha lagta hai ..